Tez Chali Re Purvaiya Lyrics Translation | Toofaan (Shankar Mahadevan)

Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Singer: Shankar Mahadevan
Label: Zee Music Company

Purvaiya Meaning

Purvaiyya, often called purvaai too, literally means an eastern wind. It is considered to be moderating the temperature, and hence believed to be likeable. But here in the song, the Eastern wind is blowing fast, probably like a storm, which means that something supposedly good has turned bad.

samay ke pannon pe likh rahi hai

ye zindagi jo kahaani

hain kaise moR ismein aane waale

ye baat kisne hai jaani


the story this life is writing

on the pages of time,

what turns are about to appear in this,

no one knows.



yahi zindagi hansaaye

yahi zindagi rulaaye

yahi zindagi de lori

yahi zindagi jagaaye

yahi laati hai andhere

yahi roshni bhi laaye

yahi zakhm-zakhm kar de

aur yahi marham lagaaye


this life makes you laugh,

this life makes you cry too.

this life sings a lullaby,

and this life keeps us awake too.

this life brings darkness,

and it brings the light too.

this life gives wounds,

and it applies a balm too.


har pal yahaan, naya samaa

naye zameen, naye aasmaan hain

kabhi to hai naram hawaa

aur kabhi garm aandhiyaan hain

aandhiyaan hain…


every moment here is a new atmosphere,

a new earth, and a new sky.

sometimes there is a soft breeze,

and sometimes there are hot storms.


tez chali re purvaiyaa

din mein laayi raat re

tez chali re purvaiyyaa

bikhre hain phool aur paat re

to bas hairaan hairaan soche insaan

honi hai ab kya baat re


the eastern wind blew fast,

and brought night during day.

the eastern wind blew fast,

making flowers and leaves fall.

And the astonished human wonders

what next is about to come.


bas hairaan hairaan soche insaan

honi hai ab kya baat re

tez chali re purvaiya.


samay ke panno pe likh rahi hai

ye zindagi jo kahaani

hain kaise mod isme aane wale

ye baat kisne hai jaani


wo aankhein jo kahin nahi unke sapne

maine hain sambhaal ke rakhe

yaadon ne saari tasveerein aur dil ne

dard hain kamaal ke rakhe


those eyes which are no more,

I have carefully held their dreams with me.

(my) memories have kept all the pictures, 

and the heart has held on to an incredible amount of pains.


apni dhaRkanon mein aur saanson mein

maine jisko rakkha hai zindaa

uski ummeedon ko uske khwaabon ko

kaise hone doonga sharminda


the one I have kept alive 

in my heartbeats and breaths,

how would I let his hopes 

and dreams feel ashamed!


raahon mein the bichhe hue

dehke dehke angaare

aakaash se patthar barse

ye sapne phir bhi na haare

phir bhi na haare


on the paths, 

burning embers were laid.

even rocks rained from the sky,

and yet these dreams didn’t get defeated.

didn’t get defeated…


tez chali re purvaiya

duniya lagaaye hai ghaat re

tez chali re purvaiya

dil nahi maanta maat re


the eastern wind blew fast,

the world is waiting for its chance to beat me.

the eastern wind blew fast,

but my heart doesn’t accept defeat.


to bas hairaan hairaan soche insaan

honi hai ab kya baat re

bas hairaan hairaan soche insaan

honi hai ab kya baat re

tez chali re purvayya

purvayyaa

tez chali re, tez chali re

tez chali purvaiyyaa.

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.