Aafaton ke Parindey: Lyrics, Translation (Ishaqzaade)

Movie: Ishaqzaade
Music: Amit Trivedi
Lyrics: Kausar Munir
Singers: Suraj Jagan, Divya Kumar
Label: Sony Music

Aafaton ke parinde, Ishaqzaade
Dil uda denge phurr se, Ishaqzaade
Ishq ko aazmane, Ishaqzaade
Phadphadate hain phir se, Ishaqzaade


Birds of troubles, mad lovers,
Will fly the heart in a jiffy, mad lovers..
To try love, mad lovers,
flutter their wings again, mad lovers..

Halalon mein, haraamon mein
Jo milte thay, hazaron mein
Ishaqzaade, Ishaqzaade
kahaan hai ab jahanon mein
Ishaqzaade, Ishaqzaade


Among those good and bad (all kinds of people)
who used to be there in thousands,
mad lovers, those mad lovers,
where are there in this world,
those mad lovers..

Sitaaron mein, taraanon mein
Jo milte the, fasaanon mein
Ishaqzaade, Ishaqzaade
kahaan hai ab jahaanon mein


In the stars, in tunes of music,
those who used to be there in stories,
mad lovers, those mad lovers,
where are they there in the world..

Deewaarein tod de, daraarein jod de
Zidon-do-do-do-do ko mita de
Haan.. kinaare chhod dein
Maujon ko mod dein
Hadon sarhadon ko khudi se mila le haan


(they) break the walls, repair the cracks,
finish the stubbornnesses.. (do-do-do is for effect)
They leave the shores,
turn the waves around,
Meet the limits and boundaries with their egos..

Na zameen na falak ke, Ishaqzaade
Khush khudi ke jahaan mein, Ishaqzaade
Halaalon mein, haraamon mein
Jo milte thay, hazaaron mein
Ishaqzaade, Ishaqzaade
kahaan hai ab jahaanon mein

Not belonging to the earth or the sky, mad lovers,
Happy in the world of their ego, mad lovers..
Among those good and bad (all kinds of people)
who used to be there in thousands,
mad lovers, those mad lovers,
where are there in this world..

1 comment:

Milan Bharadwaj said...

Using "Love Rebels" would be better than "mad lovers" I suppose

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.