Showing posts with label Dev Anand. Show all posts
Showing posts with label Dev Anand. Show all posts

Din Dhal Jaaye, Raat na Jaaye: Lyrics, Translation (Guide)

Movie: Guide
Music: Sachin Dev Burman
Lyrics: Shailendra
Singer: Mohd Rafi

Din dhal jaaye haye raat na jaaye
Tu to na aaye teri yaad sataaye
Din dhal jaaye....


The day somehow goes by, but the night does not end
You don't come, but your memory torment me
The day goes by...

Pyar mein jinke sab jag chhoda aur hue badnaam
Unke hi haathon haal hua yeh baithe hain dil ko thaam
Apne kabhi the ab hain paraaye

Wahan Kaun Hai Tera: Lyrics, Translation (Guide)

Movie: Guide
Music: Sachin Dev Burman
Lyrics: Shailendra
Singer: Sachin Dev Burman

wahaan kaun hai teraa,
musaafir, jaayegaa kahaan
dam lele ghadi bhar,
ye chhaiyyaan payega kahaan
wahaan kaun hai teraa


There is no one your own, o traveller
take a breather here,
where will you get this cool shade
there is no one your own..

beet gaye din,
pyaar ke palchhin
sapna bani wo raaten
bhool gaye wo,
tu bhi bhulaa de
pyaar ki wo mulaaqaaten
pyaar ki wo mulaaqaaten
sab door andhera,
musafir, jaayega kahaan

Main Zindagi ka Saath Nibhata Chala Gaya: Lyrics, Translation (Hum Dono)

Movie: Hum Dono
Music: Jaidev
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Singers: Mohd Rafi

Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
Har fikr ko dhuein mein uRaata chala gaya

I just kept going with the life,
Kept on making every worry fly like smoke..

Barbaadiyon ka soz manana fizool tha
Barbaadiyon ka jashn manaata chala gaya

it was useless to be sad for it all getting ruined
(so) I kept on celebrating all that ruin.

Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
Jo kho gaya main usko bhulata chala gaya

Whatever I got, I considered that as my fate,
whatever I lost, forgetting it, I just kept going.

Gham aur khushi mein fark na mehsoos ho jahaan
Main dil ko us maqaam pe lata chala gaya

Where there is no difference felt in sorrow and joy,
I kept trying to take myself to that point..

Abhi na Jao Chhodkar: Lyrics, Translation (Hum Dono)

Movie: Hum Dono
Music: Jaidev
Lyrics: Sahir Ludhiyanvi
Singers: Mohd Rafi, Asha Bhosle

Abhi na jaao chhod kar
ke dil abhi bhara nahi


Please don’t leave yet,
my heart isn’t satiated yet,

abhi abhi to aayi ho
abhi abhi to
abhi abhi to aayi ho
bahaar ban ke chaayi ho
Hawa zara mahek to le
nazar zara bahek to le
Yeh shaam dhal to le zara
yeh shaam dhal to le zara
yeh dil sambhal to le zara
main thodi der jee to loon
nashe ke ghoont pi to loon
nashe ke ghoont pi to loon
abhi to kuch kaha nahi
abhi to kuch suna nahi
abhi na jaao chhod kar
ke dil abhi bhara nahi

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.