Is Dil ke Laddu Bant Gaye Lyrics Translation | Shubh Mangal Saavdhan

Movie: Shubh Mangal Saavdhan (2017)
Music: Tanishk-Vayu
Lyrics: Tanishk-Vayu
Singer: Mika Singh
Label: Eros Music

haaye boli aisi ki tamatar bhi mangaye
to lage jaise mushaayaron mein
baiTha sun raha hoon usko

her voice is such that even if she asks me
to get tomatoes from the market,
it feels like I'm listening to her
sitting in some poetry session.

ma dha ni sa ni dha ma ga...

(Indian musical notes)



arey aankhein aisi ki
milaaye jab nigaahein
ye nigahein Dagmagaaye
kuch samajh mein bhi na aaye dil ko

her eyes are such that
when she looks into my eyes,
my eyes deviate from their path,
and the heart isn't able to understand anything.

par, jaise mohabbat uTThi
seene mein ghus gayi gupti
is dil ke laDDoo banT gaye

but, when love woke up,
a sword-stick went through the chest,
and this heart is in a soup.

haan, suljhi thoRi jab gutthi
khwaabon ki ho gayi chhuTTi
is dil ke laDDoo banT gaye

when the puzzle was resolved a little,
the dreams all flew away,
this heart is in a soup.

haan, chhaataa lekar nikle koi ghar se
chhaye baadal na barse
jaise note do hazaar ke lekar koi
chhuTTe ko tarse...

as if someone leaves the house with an umbrella,
but the clouds in the sky don't rain.
as if someone who has a note of rupees two thousand
but cannot get change.

saagar mein pyaasa hai dil
par kar kya sakta hai dil
is dil ke laDDoo banT gaye

this heart is thirsty in the sea,
but what can the heart do,
this heart is in a soup.

chhoTaa zara hai dil
kaisa roaansa hai dil
is dil ke laDDoo banT gaye

the heart is a bit small,
it's so ready to cry.
this heart is in a soup.

haaye aisi taisi aisi huyi ke
emotion ka juice nikla
jhaalar laga ke ghar sajaaya
par connection loose nikla

there was such a ruin
that emotions were all crushed.
the house was adorned with rows of electric bulbs,
but the connection turned out to be loose.

haan free mein ho gaye faTTe
jeevan ka happy budday
is dil ke laDDoo banT gaye

for no reason, it's all ruined,
life is all in ruins.
this heart is in a soup.

haaye raahon mein aise gaDDhe
TooTe hain dil ke haDDe
is dil ke laDDoo banT gaye

there were such potholes in the path,
that the bones of the heart have broken,
this heart is in a soup.

boli aisi ke TamaaTar bhi mangaye
to lage jaise mushaayaron mein
baiTha sun raha hoon usko

arey aankhein aisi ke
milaaye jab nigahein
ye nigahein Dagmagaaye
kuch samajh mein hi na aaye dil ko

par, jaise mohabbat uTThi
seene mein ghus gayi gupti
is dil ke laDDoo banT gaye

haan… suljhi thoRi jab gutthi
khwaabon ki ho gayi chhuTTi
is dil ke, mm-hmmm lag gaye

(the last line here has the same meaning, that the heart is in a soup. the mm-hmmm here is beeping out a word, meaning pe**s, which makes it a very casual proverb.)

No comments:

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.