Jaane Kaisa Raaz Hai: Imran's Poetry, Translation (ZNMD)


Ik baat honthon tak hai jo aayi nahin
Bas aankhon se hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hai woh maangti
Jinko pehenke honthon tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chhupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai

a thought, that hasn't reached lips,
peeks from the eyes,
it asks for some words-
sometimes from you, sometimes from me..
wearing which, it may reach lips,
and may flaunt holding the arms of voice,
but the thought that it is,
it's just, only, feeling,
as if some smell floats in the air,
smell, that is soundless,
that you know about,
and I know about,
it can't be hidden from the world either,
don't know how a secret it is..

(Get other posts on Imran's Poetry from ZNMD here)

No comments:

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.