Hai Zaroori Lyrics Translation | Noor

Movie: Noor
Music: Amaal Malik
Lyrics: Manoj Muntashir
Singers: Prakriti Kakar
Label: T-Series

kabhi kabhi lage yehi
jo hona tha hua wahi
badlana bhi hawaaon ka hai zaroori

sometimes it feels like
what had to happen has happened
it's necessary for the winds to change too.

kabhi kabhi lage yehi
jo milna tha mila wahi
bikharna bhi duaaon ka hai zaroori

sometimes it feels like
I have got what I had to get,
it's necessary for the prayers to shatter sometimes, too.

kisi ke waaste kahaan
zameen pe aaya aasmaan
ye dooriyan rahi bas dooriyaan

when has the sky come down
for anyone,
these distances remained distances.
(as in, the sky always remained far, out of reach.)

ke chori chori chupke se chupke se rona
hai zaroori..
ke paani paani ankhiyon ka ankhiyon ka hona
hai zaroori..

it's necessary to cry quietly, in hiding, sometimes.
it's necessary for eyes to water sometimes.

reh gayi aarzoo ik adhoori
ke kabhi kabhi aisa bhi, aisa bhi hona
hai zaroori...

this wish remained incomplete,
that sometimes it's also necessary
for this to happen.

nasamajh thhe hum
jo ye bhi na samjhe
waqt aane pe
sab badalte hain

I was naive
that I didn't even understand,
that everyone changes
when the time comes (for that to happen).

manzilein kya hain
aur raaste kya hain
log pal bhar mein
yahaan rab badalte hain

what are destinations
and what are the paths (it's no big deal to change them for people),
people change their gods here
in a moment.

kisi ke vaaste kahaan
kinaare aayen kashtiyaan
ye dooriyan rahi bas dooriyan

when do boats come to the shore
for anyone...
these distances always remained there.

ke chori chori chupke se, chupke se rona
hai zaroori..
ke paani paani ankhiyon ka, ankhiyon ka hona
hai zaroori..

reh gayi aarzoo ik adhoori..
ke kabhi kabhi
aisa bhi, aisa bhi hona
hai zaroori...

muskuraane ke kitne bahaane thhe
phir bhi aankhon ne kyun nami chun li

there were so many reasons to smile,
but why did the eyes choose wetness.

dil ki baatein to
sab aasmaani thin
hum hi paagal the
is dil ki jo sun li

what the heart said
was all just fantasies,
I was the crazy one,
who listened to the heart.

kisi ke vaaste kahaan
mili hai raat se subah
ke dooriyan rahi bas dooriyan

when has the night ever met the morning
for anyone,
these distances have always remained there.

ke chori chori chupke se, chupke se rona
hai zaroori..
ke paani paani ankhiyon ka, ankhiyon ka hona
hai zaroori..

reh gayi aarzoo ik adhoori..
ke kabhi kabhi
aisa bhi, aisa bhi hona
hai zaroori..

No comments:

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.