Kitni Baatein Yaad Aati Hain Lyrics Translation | Lakshya

Movie: Lakshya (2004)
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Singer: Hariharan, Sadhna Sargam
Label: Sony Music

kitni baatein yaad aati hain
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon,
dil ko kya samjhaoon

how many things come to memories,
they seem to make pictures (in the mind),
how do I forget them
what do I tell my heart?

kitni baatein kehne ki hain
hoThon par jo sahmi si hain
ek roz inhein sun lo,
kyun aise gumsum ho

there are so many things to be said,
which are stuck on the lips, as if afraid,
listen to them one day,
why are you so quiet?

kyun poori ho na paayee daastaan
kaise aayee hain aisi dooriyaan

why was the story not completed?
how are there so much distances?

donon ke dilon mein chhupa hai jo
ek anjaanaa sa Gam
kya ho paayega wo kam,
koi kya kahe

this unknown sorrow that is there
in both the hearts,
will it reduce?
what can one say...

donon ne kabhi zindagi ke
ik moR pe thi jo paayee
hai kaisi wo tanhaai,
koi kya kahe

which both had found
at some turn of life
how's that loneliness,
what can one say?

kitna veeraan hai ye samaa
saanson mein jaise ghulta hai dhuaan
kaise aayi hain aisi dooriyaan

how deserted is this atmostphere
as if a smoke is dissolved in the breath,
how are there so much distances?

kitni baatein yaad aati hain
tasveerein si ban jaati hain
main kaise inhein bhooloon

tumse aaj yoon milke dil ko
yaad aaye lamhe kal ke
ye aansoo kyun hai chhalke,
ab kya kahein

on meeting you today, the heart
remembered things of yesterday,
why are these tears coming out,
what do I say?

tumne humko dekha jo aise to
ek umeed hai jaagi
phir tumse pyar paane ki,
ab kya karein

when you looked at me,
a hope has risen,
of getting love from you again,
what do I do...

aa gaye hum kahaan se kahaan
dekhe muR ke ye dil ka kaarvaan,
kaise aayee hain aisi dooriyaan

from where till where have we come,
this caravan of heart turns and looks back.
how are there so much distances?



Reprise Version

donon ke dilon mein sawaal hain,
phir bhi hai khamoshi
to kaun hai kiska doshi,
koi kya kahe

there are questions in hearts of both,
and still there is silence,
so who is guilty of whom,
what can one say?

kaisi uljhanon ke ye jaal hain,
jin mein uljhe hain dil
ab hona hai kya haasil,
koi kya kahe

how are these webs of confusions,
in which hearts are entangled,
now what is to be achieved,
what can one say?

dil ki hain kaisi majbooriyaan
khoye the kaise raahon ke nishaan
kaise aayee hain aisi dooriyaan

how is the helplessness of hearts...
how were the signs of paths lost?
how are there such distances?

No comments:

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.