Ek Ajnabi Haseena Se Lyrics Translation | Ajnabi

Movie: Ajanabee (1974)
Music: RD Burman
Lyrics: Anand Bakshi
Singer: Kishore Kumar
Music Label: Saregama

ek ajnabi haseenaa se
yoon mulaaqaat ho gayi
phir kyaa huaa ye naa poochho
kuchh aisi baat ho gayi

I happened to meet
a beautiful stranger (girl).
what happened after that, don't ask,
because some such thing happened (that I can't tell).

wo achaanak aa gayi
yoon nazar ke saamne
jaise nikal aayaa ghaTaa se chaand
chehre pe zulfen
bikhri huyi thin
din mein raat ho gayi

She came all of a sudden
in front of my eyes,
as if the moon coming out of the clouds.
Her hair was spread
on her face,
as if night had fallen in the day itself...

ek ajnabi haseenaa se
yoon mulaakaat ho gayi

jaan-e-man jaan-e-jigar
hotaa main shaayar agar
kahtaa ghazal teri adaaon par
maine ye kahaa to mujhse khafaa wo
jaan-e-hayaat ho gayi

"O life of my heart, O my beloved,
had I been a poet,
I'd have said a ghazal on your styles"
when I said this, that life of my life
became angry with me...

ek ajnabi haseenaa se
yoon mulaaqaat ho gayi

khoobsoorat baat ye
chaar pal kaa saath ye
saari umar mujhko rahegaa yaad
main akelaa thaa magar
ban gayi wo hamsafar
wo mere saath ho gayi

this beautiful thing,
this togetherness of a few moments,
I'll remember it all my life.
I was alone,
but she became a companion,
and joined me...

ek ajnabi haseenaa se
yoon mulaaqaat ho gayi

No comments:

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.