Ye Awaaz Hai Lyrics Translation | Indu Sarkar

Movie: Indu Sarkar
Music: Anu Malik
Lyrics: Puneet Sharma
Singer: Monali Thakur
Label: Saregama

main aankhon ke dar miloon na agar
mera ik pataa ye aawaaz hai
ye aawaaz hai...
na ho roshni, hon raatein ghani
to chehra mera ye aawaaz hai
ye aawaaz hai...

if I'm not found at the door of eyes,
an address of mine, is this voice.
if there is no light, and dark nights there,
then my face is this voice.



mera aks ye jo tasveer hai
lehar ne chhuaa to dhul jaayega
jo pehchaan hai mere naam se
vo ik naam shoron mein ghul jayega
ghul jayega...

my image that this picture is,
if the wave touches it, it'll be washed away.
the identity that my name has,
it'll be lost in noises.

ye hasti meri agar Dor hai
to uska sira ye aawaaz hai
ye aawaaz hai...
na ho roshni, hon raatein ghani
to chehra mera ye aawaaz hai
ye aawaaz hai...

if my identity is a thread,
then it's end is my voice.
if there is no light, and dark nights there,
then my face is this voice.

hatheli teri chhui to laga,
ye duniya mujhi pe meherbaan hai.
safar hai wahi, wahi manzilein,
to phir kyun lage raah aasaan hai,
raah aasaan hai...

when I touched your palm,
I felt that the world is kind to me.
it's the same journey and the same destinations,
then why does the path seem easier now?

teri fikr se khanakti hai jo
wahi ik sadaa ye aawaaz hai,
ye aawaaz hai...
na ho roshni, hon raatein ghani
to chehra mera ye aawaaz hai
ye aawaaz hai...

the one that jingles thinking about you,
that call is this voice.
if there is no light, and dark nights there,
then my face is this voice.

agar dard ka koi rang hai,
main us rang mein goonjtaa shor hoon.
mera khwaab thaa, rahoon khwaab mein,
magar main haqeeqat mein kuchh aur hoon.

if there is a color in pain,
I'm the noise echoing in that color.
my dream was to live in a dream,
but I'm something else in truth.

kisi Gam ka ye ab ilzaam de,
khudi se khafaa, ye aawaaz hai, ye aawaaz hai...
na ho roshni, hon raatein ghani
to chehra mera ye aawaaz hai, ye aawaaz hai...

now whatever sorrow I'm blamed with,
this voice is angry with itself.
if there is no light, and dark nights there,
then my face is this voice.

ye aandhi mujhe giraati rahe,
ise kya gumaan hai main Dar jaaungi,
lo sau baar tum bikhero mujhe
hazaaron gunaa main bikhar jaaungi,
nikhar jaaungi...

let this storm keep trying to make me fall,
does it imagine that I'd fall?
make me fall a hundred times,
and a thousand times I'll be shattered,
(and every time) I'll become better.

jo TooTe magar na badle bayaan,
wahi aaina ye aawaaz hai, ye aawaaz hai...
na ho roshni, hon raatein ghani
to chehra mera ye aawaaz hai, ye aawaaz hai...

the one that breaks, but doesn't change its testimony,
this voice is that mirror.
if there is no light, and dark nights there,
then my face is this voice.

andhera bhi hai, ujaala bhi hai,
yehi to seher ki shuruaat hai,
parinda akelaa hai aakaash mein,
magar khush hai wo aaj aazaad hai,
aaj aazaad hai...

there is darkness, and there is light,
this is the beginning of a morning.
the bird is alone in the sky,
but it's happy that it's free today...

jahaan khatm hai waheen se shuru
nayi daastaan ye aawaaz hai, ye aawaaz hai.
na ho roshni, hon raatein ghani
to chehra mera ye aawaaz hai, ye aawaaz hai...

where it ends, there only it begins,
this voice is a new story.
if there is no light, and dark nights there,
then my face is this voice.

No comments:

Subscribe to BollyMeaning
Receive meanings and translations in your inbox. Every day.
Your email address will Never be shared.